Nishan bhi koy na chora K dil ko samjhayeen Teri talash main jayeen To ham kahan jayeen O jane wale yeh dil tuj se Badguman bhi naheen Lagi hay aag nasheman main Aur dhunwaan bhi naheen Yehi naseeb main likha tha Ghut k mar jayeen Sunayeen haal kise jab woh Raaz daan na mila Khushi mili to baharoon ka Woh samaan na mila Yehi thi ek tamana k Tuj ko apnayeen Ujar gayeen hain tamanayeen Tere jane se Gilah KHUDA se kareen Ya kareen zamane se Gham_e_ judayi bata Aaj kis se takrayeen |
tum ko jaab bohaj lagay sath humara to bata daynahum chup chap muhabbat sa mukar jain gaiy
Ik dard la-dawa lay kar Main muddat say jee raha hun Dukhon ko daman main siyya or See raha hun Barsoon pehlay haalaat kay bhanwar main dooba tha main Yeh soch kr us ko,,, Anaoon kay sapurd kiya tha Agr mera huva to zaroor lot aye gay Uss kay intezar main ab umar bhi dhal janay ko Jawan chehry kay sabhi naqsh hain dhul janay ko Na-janay kyun ab tak, Ik bekar see umeed nay Mery dil pay talissam kar rakha hai Or meri in ankhon ko num kar rakha hai
Bila Jawaz Rakhain Khud Ko Be-Qaraar Bhi Kiun Jo Tu Nahi Hai To Phir Tera intzaar Bhi Kiun,Akelepan Ka Safar Jab Mera Muqadar Hai To Phir Ay Waada Shikan Teri Rehguzaar Bhi Kiun, Usy Ganwa K Raho Ab Khizaon Ki Zadd Mein Jo Wo Nahi Hai To Phir Mausam-E-Bahaar Bhi Kiun,
Agar Bhulaye Huye Us Ko Aik Umar Hui To Phir Yeh Aaj Tabiyat Hai Sogwaar Bhi Kiun,
Wo Jin Labon Pe Yaqeene-E-wafa Mehaka Na Saky Phir Un K Lams Ki Khuahish Ho Aik Baar Bhi Kiun,
Jab Us Ko Shauq Tha Raston Ki Dhool Hony Ka Palat Ke Dekhta Jaata Tha Baar Baar Bhi Kiun ? ! Mohabbat Hijar Nafrat Sab Mil Chuky Hain Mujhe Main Ab Takriban Mukamal Ho Chuka Hoon !
|
|
|
|